Wednesday, April 14, 2010

for all my batchmates @ISM

chalte tehalte kab aa pahuncha tha
main is anjaan se sheher mein
aur hissa ban gaya ek naye caarvan ka

kab shaam dhali naya din aaya
kuch yaad hi nahi

fir safar par chal diye thein
naye raahgeeron ke saath
haste gaate ek naye sheher ki or

kab shaam dhali naya din aaya
kuch yaad hi nahi

ab alvida kehne ka samay aaya hai
kyun lag raha hai ke
kisi se theek se kuch baat bhi na hui

kab shaam dhali naya din aaya
kuch yaad hi nahi

kaise beet gaye ye din raat
hum to dheere dheere chal rahe thein
ye antim padaav kab aaya


kab shaam dhali naya din aaya
kuch yaad hi nahi

haath hilata hun hanskar alvida kehta hun
par hridey ko to bas udaasiyon ne ghera hai
antim padaav par antim bhnet ye tumko saathi
antim kavya ye mera hai

No comments:

उन पे रोना, आँहें भरना, अपनी फ़ितरत ही नही

  उन पे रोना, आँहें भरना, अपनी फ़ितरत ही नहीं… याद करके, टूट जाने, सी तबीयत ही नहीं  रोग सा, भर के नसों में, फिल्मी गानों का नशा  ख़ुद के हा...